Tumhara Shubhchintak
Pyare Faisal Bhai, Yaad hai, jab hum sab school mein saath padhte the – Ramesh, aap, Kishore, Anupam aur Raghav? Woh din jab har subah ek adventure lagta tha, aur hamari sabse badi chinta math test hua karta tha. Hum sb kaise Ramesh ke tiffin ke aas paas jama hote the jaise woh ek khazana ka dibba ho, hansi aur kahaniyon ke saath uske khane se bhare har bite mein humare sapno aur ane wali musibato ki kahaniyan hoti thi. Jha aap ek travel journalist, Kishore Architect, Anupam lekhak Ramesh ko toh kisnai mai hi ruchi thi, Raghav ko toh IAS hi bnna tha aur mere pass kbhi iss sawal ka jawaab nhi hota tha. Aaj Instagram scroll karte hue aapki story phir se dekh li. Roz koshish karta hoon ki na dekhoon, lekin aaj raha nahi gaya. Aapki thodi chinta bhi hoti hai. Dekha ki hamesha ki tarah aap Amsterdam mein the. Pichli story mein Prague, kabhi Zurich aur ek raat Eiffel Tower ko taron se chamakta dekh muskurate the. Tumhari zindagi ke yeh rangeen pannon ko dekh kar mera chehra ek kadwa-meetha m...