Log kyu peete hai?
Log kyu peete hai? Jab main apni cigarette ko apni ungliyon ke beech kas kar pakadta hoon, sabhi bhavanayein jaise chinta, tanav, dard ya shayad sirf ek vyaapak khaali pan, soch ki chaukhat par darwaja khatkatati hai aur tab main shabdon ke liye joojhta hoon. Main yeh samajhne ki koshish karta hoon ki kis galat kadam ne is pal tak pahunchaaya, sawaal karta hoon ki yeh galat kyun hua, yeh kaise alag ho sakta tha, aur kab main uth kar bhaag jaunga jaise ki main hamesha karta hoon...Ek aur bhare-pure jheel ki sukhi hui satah ke samne mai aaj phir khada tha, jiski rait bech ek skyscraper jld hi taiyar kar dia jayega, mere vicharon ki banjar bhoomi jaisa—sapnon, aakankshon, aur ichchhaon se rehait. Aakash choone wali unchi imaaraton ko dekhte hue , jo meri aankhon mein gehrai se jhaankti hain, ek doosre se Mukabala karti hain ki kaun ooncha hai, kaun zyada chamkila hai, kaun zyada paise kama sakta hai aur kaun sapno ko bechne mein behtar hai. Ek behtar jeevan ka sapna, ek aisi duniya...